Thursday 10 November 2011

GOVT. BUS STAND


Now its an interesting story about my life. And this story goes round the govt. bus stan of bolangir, where I was doing my diploma. The story is something like my friend love a girl. That girl go to the govt bus stand on the holidays, she goes by bus to her place, and my frnd used to take me with him. So the story is like this.
Well this was the end of our second semester. 10 to 1 was our exam, and we came to our quarters. I was jst relaxing on my bed. And then suddenly someone knocks on my door. I was like ‘ kiski maut bula rahi hai be ’. and when I open the door it was dev, he asked me to get ready quickly. I asked why ?? he said ki we are going to govt bus stand. I asked why be, itni dhoop ho rahi hai why I will go with u.main nai jaunga. Then he said “chal na yaar wo ja rahi hai “.

“ kaun be ?? ”

“ are swati yaar( name changed)”. Its not good to right her name here. I think.

“ are wo ja rahi hai to main wahan ja ke kya karunga be ? tu khud kyun nai chala jata ? main jaunga to wo kya sochegi ki main v use line marne aaya hun. Chi chi chi chi chi tu mujhe marwayega. ”.

“nai na alok aisi baat nai hai, tum rehte ho paas mein to mujhe courage milta hai. Plz plz plz. Jaldi ready ho jao na. ”

So what can I do yaar ek to wo kitna gidgida raha hai. Wo kya hai na ki main apne doston ki bat taal nai sakta na. to I get ready and chala uske saath.aur raaste mein use dhamki bhi de raha hun.

“ agar mere bare mein kisi bhi ladki ne ulta sidha kaha ki main bus stand pe line marne aaya hun na to samajh lena aaj uska aakhri din hai.gala marood ke maar dalunga use.”

“ koi tumhe kuch nai bolega yaar waise bhi tumse koi bat nai karta ”.

I was like oh ho haan yaar. Mujhse to koi bhi baat hi nai karte aur main khamkha mein hi murder ke bare mein soch raha tha.

So the story behind is, my friend had fallen for swati from the moment he saw her, but na wo use kabhi baat nai kiya tha, shirf use dekhta hi rehta tha, aur wo ladki kabhi bhi ise nai dekhti thi, haan agar by chance accidently iske taraf najar chali bhi jati thi to this boy go crazy ki aaj usne mujhe dekha. Ab kya yaar ye ladke bhi na. kya kya imagine kar lete hain. Khair leave it, mera dost hai to jyada burai bhi thik nai hai.wo college mein to baat nai kar saka to use laga ki shayad bahar mein kahin milega to baat kar sakega.to kahin se use pata chala ki swati ghar ja rahi hai and wo govt bus stand gayi hai, to janab mere paas aaye bhage bhage aur unke saath jane ke liye bol rahe the.

So at last we reached govt bus stand. Aur wahan pahunch ke charon taraf apni najar daudayi to koi v nai tha  I mean koi ladki nai thi, so we headed towards the rest room. Bahar se sab andhera dikh raha tha. Dev ne kaha “ alok jara anar ja ke dekho na ki wo hai ki nai, ”

“ abe use pyar tu karta hai ki main be, ja khud ja ke dekh wo hai ki nai, agar hogi to wahin pe use baat kar lena. Waise bhi bahut se ladke aye hue hain yah ape ladkiyon ko line marne. Mujhe dekhenge to kya sochenge sab.”

Dev andar gaya rest room mein. Wahan dekh raha tha ki swati kahan hai, par wo use nai mili. Wo nai thi wahan to wo bechara apna shakal jamu(utar)  kar ke wapas aaya aur bola ki wo nai hai,

“ oh ho koi baat nai yaar, chal wapas chalet hain, next time mil lena use. ” main to yahi soch raha tha ki kaise yahan se nikalte hain. Hum log ja hi rahe the ki tabhi samne se wo aa rahi hai.use dekh ke hi hum ruk gaye. Usne dev ko dekha.

 “ hey dev usne tujhe dekha yaar ”

“ kya sach mein ?? ”

“ nai re wo bas check kar rahi thi main kiske saath aya hun,  wo to mujhse pyar karti hai na. duffer  aur kya mujhe dekhegi wo.ja , ja ke bat kar usse. ”

Actually swati was not alone uske saath class ke aur do ladkiyan bhi thi. To dev bola  “ wo baki do ladkiyan bhi hai na yaar uske saath,”

“ wo dono teri kya lagti hain be, tujhse jisse kaam hai use ja ke baat kar na. ”

“ kaise karun ?? aur kya bolun jo wo mere pas ayegi ?? ”

“ are simple re, uske paas jana aur bolna  ae tu haan tu re, jara side mein aa baat karni hai. Ha ha ha ha  ha ha ha ha ”

“ kya alok aisa bolunga to wo kabhi nai ayegi yaar ”.

“  abe to tu hi kuch soch na be, aur jaldi ja, nai to bus chala jayega aur tu shirf tata karte reh jayega.”

I was like what yaar, why ?? kyun ?? kisliye ?? main yahan kyun hun ?? pyar  ye us ladki se karta hai, wo ladki bhi janti hai shayad. To main yahan kya kar raha hun. Bekar mein meri band baj rahi hai dhoop mein, upar se ye pasina, oh ho.

So dev uske paas ja raha tha  aur wapas aa jar aha tha, bola ki “ yaar dar lag raha hai.”

“ darr mat re sher nai hai wo jo tujhe kha jayegi , ja jake baat kar usse. Ya main bulaun  ?? swwaaaaaaaaaaa ”

“ are ruko yaar aisa mat karo tum to mera game hi kharab kar doge,”

“ achha ab main tera game kharab kar raha hun, saale ek bhi run nai kiya hai tune, hit wicket ho jayega. Bowler ko pareshan hona nai padega. Zero pe hi out hoga tu. Ja jaldi baat kar ke aa ”

 He went but came back from some distance. “ kya hua be ? ”

“ mujhe darr lag raha hai, aaj nai phir kabhi baat karenge usse. ”

Tabhi bus aa gaya and she goes into the bus.aur jab bus jane laga to dev ne use dekha to usne bhi dev ko dekha.

 I said “ cha lab tata hi kar de use kam se kam ”. aur uska haath utha raha tha to usne rok liya,” no yaar kya kar rahe ho,”

“ Abe  bye to kar le taki use pata to chale “

Lekin bechare ke kismat mein ye bhi nai tha. Bas use dekhte hi reh gaya mera dost. Aur iske chakkar mein meri nind kharab ho gayi. Kitna idea diya lekin kuch nai hua.

Ye silsila pure 2 saal tak chalta raha, iske saath jao aur bas use dekhte hi raho kabhi to baat karta nai ye, aur kuch bolo to karega bhi nai ye. Aur apna time kharab hota tha yaar. Chalo koi baat nai dost ke liye itna to kar hi sakta hun.

Aur gusse mein  maine use ye bhi kaha tha ki “ ruk ja saale agar mujhe koi mil gayi na to tujhe laat mar dunga tujhe. Puchunga bhi nai tujhe, teri  wajah se kitna pareshan hua hun main. “

 Ha ha ha ha ha ha ha hmmmmm so friends this things were happening with me. 

2 comments:

About Me

My photo
Rourkela, Odisha, India
I m a part time blogger. i used to write about myself. but from now on i thought to make it more interesting by writing product reviews. i like to travel and as i am from Odisha i have almost visited every district of it. and had visited the site seeing places. i had traveled from Udala, Mayurbhanj to Sonepur, Subarnapur which is almost more than 400kms.

Twistrix

Autowebsurf

247AutoHits

10KHits

Free website traffic to your site!

yibbida

1:1 Traffic ExchangeYibbida operates a 1:1 traffic exchange system that is consistently generating web site traffic.